Slideworld Powerpoint templates

Thursday, December 28, 2006

Ranjish hi Sahi (Another dose of Ghazal)


ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n ye aa
Khirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa

No comments: